Lata Mangeshkar: Namaskar. kal sachin ki aakhri match hai,uske baad wo retire ho raha hai,sachin shant swabhav ka,bohot kam baat karnewala aur bagair kisi ko bataaye dusro'n ki maddad karnewala bohot bade dil ka malik hai,aaj tak cricket me jo usne kiya hai unme se kuch baatein aap se baantna chahti hu,Haalake aap sab ko wo pata hi hoga phir bhi mere dil ki tasalli ke liye main likh rahi hu. 1day international me aur test cricket me highest runs scorer,most numbers of centuries in one day international,1st cricketer jisne 10000 run one day cricket me kiye hain,aur 18000 runs kiye hai, highest scorer in world cup 2560,wo bowling bhi acchi karta hai aur fielding bhi acchi karta hai, cricket me sachin jaisa koi nahi ,aur usne jo ye retire hone ka faisla kiya hai usse mujhe bohot dukh hua hai ,mujhe lagta hai ki wo aage aur bhi accha khelta magar, ye uska faisla sar aankho'n pe. Main sachin ko bohot shubh kaamnaayein deti hu aur wo jo bhi chahta ho,bhagwan kare usko yash mile. Uski pasand ka gana main usko dedicate karti hu. Mera saaya saath hoga..